Ram Mandir
Ke Jis Mandir Ka Gara Khoon Men Goondha Gaya Ho
Ke Jis Ki Saree Eeten,
Bastiyon Men Aag Sulga Kar
Pakaee Ja Rahee Hon
Ke Jis Ki Ghantiyon Men
Siskiyan, Aah-O-Buka, Cheekhen
Piroee Ja Rahi Hon
Ke Jis Mandir Ke Bunyaaden,
Watan Ki Sab Jadon Ko Khod Kar Tameer Ki Janyen
Ke Jis Ke Rang-O-Raughan Ko
Hazaron Aurtoon Ki Mang Ke Sindoor Ki
Wahshi Zaroorat Ho
Ke Jis Ke Patharon Men
Naqsh Jab Ubhren, To Yun Ubhren
Nazar Aaye
Kisi Masoom Ki Bindee
Kisi Majboor Ki Aahen
Kisi Burhe Ki Ummeeden
Kisi Kamsin Jawani Ki
Sisakti Aakhri Sansen
Use 'Maryada Purshottam Ka Mandir'
Nam Dena Pap Hoga
Karo Tum Pap
Karte Hi Rahe Ho
Magar Mujh Se To Ye Hargiz Na Ho Ga
Men Us Ko 'Ram Ka Mandir' Naheen Keh Paoon Ga Hargiz.
Naheen Keh Paoon Ga Hargiz.
Naheen Keh Paoon Ga Hargiz.
Ram Temple
A temple built
With mortar kneaded in blood
bricks fired in burning bastis
and with its tolling bells,
screaming with cries, lamentation, sobbing.
A temple rising
from torn, uprooted foundations of the land
sucking, vampire like,
the vermilion from a thousand foreheads.
its grotesquely carved stones
etched deep with the
cries of the oppressed,
dead hopes of an old man and
the dyeing breath of a young life,
cruelly smothered.
It is sin
to name a temple such as this,
The abode of Ram
You may,
Sinning comes naturally to you.
But I will
Never be able
to call it
The temple of Ram
|
Lahoo main doobe yeh haath kab tak ?
Lahoo main doobe yeh haath kab tak?
Kahen ge khud ko dharam ka chaalak
Khuda-e-bartar ka naam leva
Manu ke qadmon pe chalne wala
Kahen ge kab tak ye Ram-o-Eesa ka khud ko pairo
Ye mandiron se ye masjidon se
Ye har kaleesa se uthh ke kab tak
Terr hi naare lagaa lagaa kar
Tere gharon ko gira gira kar
Tere hi bandon ka qatl kar ke
Ye bastiyon ko jala jala kar
Karen ge dawa! Teri mohabbat,teri inayat,teri refaaqat
Teri ibaadat ka, sar utha kar.
Lahoo main doobe yeh haath kab tak?
Nahin hai shikwa koi bhi in se
Mujhe shikaayat hai teri chup se
Lahoo main doobe yeh haath kab tak?
Ye haath uthte hain jab dua ko
Main kaanpta hoon, ke abke bijli kahan gire gi?
Main tujh se munkir hua ke abto
Meri aqeedat,mere yaqeen ki har ek seema
Guzar chuki hai
Ke sabr-o-imaan ki had se baahar
Hazaron munkir khade hue hain
Hazar darja hain unse behtar
Jo naam lewa hain ab bhi tere
Ye baantte hain ghane andhere
Wo zulmaton se ulajh rahe hain
The hands dripping blood
For how long will these blood-dripping hands
Call themselves the managers of faith,
The upholders of God,
The followers of Manu, the Law giver.
How long will they speak in the name of Ram and the saviour?
How long will these blood soaked hands
raise Cain
from Temples, Mosques and the Church?
How long will they
In your name
Demolish thy houses
slaughter thy flock
and destroy shelters?
arrogantly laying claim
on your inheritance
of love, piety, prayer.
How long ?
my reproach is not against them
I object to your silence.
I shudder and fear the worst
at these hands raised in prayer
I deny you
For I am now
beyond all faith, conviction, belief.
A thousand times better
than these purveyors of darkness,
these upholders of your name,
Are the non-believers,
Beyond the limits of patience and of faith,
And cutting through the shrouds of darkness.
|